Na mein tum se koi ummeed rakhoon dil nawaazi ki
Na tum mere taraf dekho galat andaaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton ne
na Zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se
chalo ek baar phir se ajnabhi ban jaaye hum dono
Tumhe bhi koi uljhan rok thi hai pesh kadmi se
mujhe bhi log kehte hai ke ye jalwe paraayein hain
Mere hamraah bhi rusvaaiyan hai mere maazi ki
Tumhari saath bhi guzri huyi raaton ke saaye hain
chalo ek baar phir se ajnabhi ban jaaye hum dono
Taaruf rog ho jaaye tho usko bhoolna bhethar
Taaluq bhoj ban jaaye tho usko thodna achcha
Woh afsaana jise anjaam thak lana na ho mumkin
usse ek khoobsurat mod dekar chodna achcha
chalo ek baar phir se ajnabhi ban jaaye hum dono
Do I need to say more.... ???? Kuch bhoole hue zakhm.....
Ramesh...I know this song because of you, I just saw the video on youtube now. Just loved the way Saahir Ludhianvi expresses love :-)
ReplyDeletecheers,
koshy.
Thanks Sunil. Yes. It's quite a powerful one. Just reminded me of a little bit of history....
ReplyDelete